Roman Urdu ArticlesRoman Urdu news

Naat ki ahmiyat aur takaze A best Article

Naat ki ahmiyat aur takaze

Huzoor Rehmat aalam sale Allah aleh o aala wasallam ki Midhat , tareef o tauseef, Shamail o Khasais ke nazmi andaz e bayan ko naat ya naat khawani ya naat goi kaha jata hai. Arabi zabaan mein naat ke liye lafz” Madah rasool” istemaal hota hai. Islam ki tareekh mein bohat se sahaba karaam ne naatain likhain aur yeh silsila aaj taq jari o saari hai. Naat likhnay walay ko naat go shayar jab kay naat parhnay walay ko naat khwan ya sana khwan kaha jata hai.Naat ki ahmiyat aur takaze

Khud Allah taala ne apne habib (sale Allah aleh wasallam) ki barray ihtimaam ke sath madah saraai farmai hai aur sara quran pak huzoor akrm sale Allah aleh wasallam ki Midhat o tauseef bayan karta hai .Naat ki ahmiyat aur takaze

Is ke liye kisi khusoosi Daleel ki zaroorat nahi balkay Shariat ke umomi dalail is ki taied karte hain. Jis terhan deen islam ke mhasn bayan karne ki zaroorat hai isi terhan is deen ko laane walay ki khoobiyan bayan karna bhi zurori hai. Huzoor par imaan lana arkaan imaan o islam mein shaamil hai aur aap ki tareef o tauseef is ka hissa hai .
Riwayaat se pata chalta hai hazrat Mohammad sale Allah aleh o aala wasallam ke chacha Abu Talib ne pehlay pehal naat kahi .

Awleen naat go shouraa:Naat ki ahmiyat aur takaze

Awleen naat go shouraa mein (hazrat Muhammad sale Allah aleh o aala wasallam ke chacha Abu Talib aur as’haab mein Hassan ban saabit razzi Allah anho pehlay naat go shayar aur naat khwan they .
Isi binaa par unhen shair e darbaar e risalat (sale Allah aleh o aala wasallam) bhi kaha jata hai .
Uskay ilawa ka-ab ban Zuher razzi Allah anho aur abdullah Ibn Rwaha (razzi Allah anho) ne tarannum se naatain parheen. Huzoor nabi kareem sale Allah aleh o aala wasallam ne khud kayi martaba Hassan ban saabit razzi Allah anho se naat samaat farmai. Hassan ban saabit razzi Allah anho ke ilawa bhi aik taweel fehrist hai, unn shaba karaam ki ke jinhon ne huzoor pak sale Allah aleh o aala wasallam ki naatain likhain aur parheen.

 
Hassan ban saabit
Aswed ban Saree
Abdullah bin Rwaha
Aamir bin Akwa
Abbas bin Abdul al-mutlib
ka-ab bin Zuheer
Nabegha Ja’adi

Dour sahaba se le kr aaj ke daur taq jahan sahaba karaam aur ulama ne Huzoor pak (sale Allah aleh o aala wasallam) ki naton ki rivayet ko farogh diya, wahein aulia Allah ne bhi islam ki tarweej o ashaat ke sath Hazoor pak (sale Allah aleh o aala wasallam) ke ishhq ko imaan ki takmeel ke liye na guzeer qarar diya aur ashqِ rasool sale Allah aleh o aala wasallam ke husool ke liye naat khawani ko sab se behtar zareya qarar diya .Naat ki ahmiyat aur takaze

Naat ki itni ahmiyat ke bawajood bhi quran pak ki talawat karna aur sunna is se afzal hai aur quran pak ki talawat se afzal hai namaz ada karna. Jab azaan ho rahi ho to tilawat quran band kar dainay ka hukum hai. Is liye naat zaroor parheen lekin namaz tark nah karen. Namaz farz hai aur is ke baaray mein sawal kya jaye ga. Aur namaz mein bhi huzoor sale Allah aleh wasallam ki tareef o sana hai. Namaz mein talawat bhi hai aur naat bhi hai .

 

Naat ki ahmiyat aur takaze A best Article

Saari raat mehfil naat zaroor sunen lekin subah Fajar ki namaz bhi zaroor ada karen. Teen ghantay mahfil naat zaroor karen lekin das pandrah minute farz namaz ada karne ke liye zaroor nikalen .

Naat ko khobsorat aawaz mein, soaz o gudaaz ke sath parheen. Naat ko ganay ki tarz par parhna aur sunna gunah hai. Naat ke sath music ka istemaal naat ki be adbi o gunah hai .

Naat bhi aisay shoaa’raa ki parheen jo mustand aur aalam hain .
Aisay shoaa’raa ke kalaam na parheen jin mein be adbi walay aur shirkiya alfaaz paye jatay jatay hain .Naat ki ahmiyat aur takaze

Tehreer o taleef : Mohammad Hasnain Raza 

متعلقہ مضامین

Leave a Reply

Back to top button